اردو हिंदी
Zindagi ye to nahin tujhko sanwara hi na ho | Shaahi Shayari
zindagi ye to nahin tujhko sanwara hi na ho

Ghazal

Zindagi ye to nahin tujhko sanwara hi na ho

Jaan Nisar Akhtar

;

zindagi ye to nahin tujh ko sanwara hi na ho
kuchh na kuchh hum ne tera qarz utara hi na ho

dil ko chhu jati hai yun raat ki aawaz kabhi
chaunk uThta hun kahin tu ne pukara hi na ho

kabhi palkon pe chamakti hai jo ashkon ki lakir
sochta hun tere aanchal ka kinara hi na ho

zindagi ek KHalish de ke na rah ja mujh ko
dard wo de jo kisi tarah gawara hi na ho

sharm aati hai ki us shahr mein hum hain ki jahan
na mile bhik to lakhon ka guzara hi na ho