aap daulat ke taraazu mein dilon ko taulen
hum mohabbat se mohabbat ka sila dete hain
Sahir Ludhianvi
abhi na chheD mohabbat ke git ai mutrib
abhi hayat ka mahaul KHush-gawar nahin
Sahir Ludhianvi
abhi zinda hun lekin sochta rahta hun KHalwat mein
ki ab tak kis tamanna ke sahaare ji liya main ne
Sahir Ludhianvi
apni tabahiyon ka mujhe koi gham nahin
tum ne kisi ke sath mohabbat nibha to di
at my own destruction I do not moan or weep
for faith at least with someone, you managed to keep
Sahir Ludhianvi
chand kaliyan nashat ki chun kar muddaton mahw-e-yas rahta hun
tera milna KHushi ki baat sahi tujh se mil kar udas rahta hun
Sahir Ludhianvi
gham aur KHushi mein farq na mahsus ho jahan
main dil ko us maqam pe lata chala gaya
Sahir Ludhianvi
hum jurm-e-mohabbat ki saza paenge tanha
jo tujh se hui ho wo KHata sath liye ja
Sahir Ludhianvi