dekhne ke liye sara aalam bhi kam
chahne ke liye ek chehra bahut
Asad Badayuni
ishq se log mana karte hain
jaise kuchh iKHtiyar hai apna
Asar Lakhnavi
husn ko sharmsar karna hi
ishq ka intiqam hota hai
Asrar-ul-Haq Majaz
ishq ka zauq-e-nazara muft mein badnam hai
husn KHud be-tab hai jalwa dikhane ke liye
love is needlessly defamed that for vision it is keen
beauty is impatient too for its splendour to be seen
Asrar-ul-Haq Majaz
ye mere ishq ki majburiyan maaz-allah
tumhaara raaz tumhin se chhupa raha hun main
Asrar-ul-Haq Majaz
'athar' tum ne ishq kiya kuchh tum bhi kaho kya haal hua
koi naya ehsas mila ya sab jaisa ahwal hua
Athar Nafees
hamare ishq mein ruswa hue tum
magar hum to tamasha ho gae hain
Athar Nafees