aat ka zaKHm hai talwar ke zaKHmon se siwa
kijiye qatl magar munh se kuchh irshad na ho
Dagh Dehlvi
na gird-o-pesh se is darja be-niyaz guzar
jo be-KHabar se hain sab ki KHabar bhi rakhte hain
Dil Ayubi
is se pahle ki log pahchanen
KHud ko pahchan lo to behtar hai
Divakar Rahi
duniya to chahti hai yunhi fasle rahen
duniya ke mashwaron pe na ja us gali mein chal
Habib Jalib
ad-tar hai maut se bhi ghulami ki zindagi
mar jaiyo magar ye gawara na kijiyo
Hafeez Merathi
zaKHm jo tu ne diye tujh ko dikha to dun magar
pas tere bhi nasihat ke siwa hai aur kya
Irfan Ahmad
kabhi bhul kar kisi se na karo suluk aisa
ki jo tum se koi karta tumhein nagawar hota
Ismail Merathi