fursat-e-kar faqat chaar ghaDi hai yaro
ye na socho ki abhi umr paDi hai yaro
Jaan Nisar Akhtar
mai-kasho aage baDho tishna-labo aage baDho
apna haq manga nahin jata hai chhina jae hai
Kaif Bhopali
saya hai kam khajur ke unche daraKHt ka
ummid bandhiye na baDe aadmi ke sath
Kaif Bhopali
meri hi jaan ke dushman hain nasihat wale
mujh ko samjhate hain un ko nahin samjhate hain
Lala Madhav Ram Jauhar
main akela hi chala tha jaanib-e-manzil magar
log sath aate gae aur karwan banta gaya
Majrooh Sultanpuri
hayat le ke chalo kaenat le ke chalo
chalo to sare zamane ko sath le ke chalo
Makhdoom Mohiuddin
are duniya mein raho gham-zada ya shad raho
aisa kuchh kar ke chalo yan ki bahut yaad raho
Mir Taqi Mir