اردو हिंदी
Manzil Shayari | Shaahi Shayari

Manzil

19 Shers

wo kya manzil jahan se raste aage nikal jaen
so ab phir ek safar ka silsila karna paDega

Iftikhar Arif




main akela hi chala tha jaanib-e-manzil magar
log sath aate gae aur karwan banta gaya

Majrooh Sultanpuri




us ne manzil pe la ke chhoD diya
umr bhar jis ka rasta dekha

Nasir Kazmi




manzil mili murad mili muddaa mila
sab kuchh mujhe mila jo tera naqsh-e-pa mila

destination and desire and my ends attained
i got everything when your footprints I obtained

Seemab Akbarabadi




mujhe aa gaya yaqin sa ki yahi hai meri manzil
sar-e-rah jab kisi ne mujhe dafatan pukara

I then came to believe it was, my goal, my destiny
When someone in my path called out to me repeatedly

Shakeel Badayuni