اردو हिंदी
Maikashi Shayari | Shaahi Shayari

Maikashi

27 Shers

tum sharab pi kar bhi hosh-mand rahte ho
jaane kyun mujhe aisi mai-kashi nahin aai

Salam Machhli shahri




e-piye shaiKH farishta tha magar
pi ke insan hua jata hai

Shakeel Badayuni




ind-e-KHarab-nosh ki be-adabi to dekhiye
niyyat-e-mai-kashi na ki hath mein jam le liya

Shakeel Badayuni




tark-e-mai hi samajh ise naseh
itni pi hai ki pi nahin jati

Shakeel Badayuni




ai 'zauq' dekh duKHtar-e-raz ko na munh laga
chhuTti nahin hai munh se ye kafar lagi hui

Sheikh Ibrahim Zauq




pila mai aashkara hum ko kis ki saqiya chori
KHuda se jab nahin chori to phir bande se kya chori

Sheikh Ibrahim Zauq