gharq kar de tujh ko zahid teri duniya ko KHarab
kam se kam itni to har mai-kash ke paimane mein hai
Jigar Moradabadi
pahle sharab zist thi ab zist hai sharab
koi pila raha hai piye ja raha hun main
Jigar Moradabadi
sab ko mara 'jigar' ke sheron ne
aur 'jigar' ko sharab ne mara
Jigar Moradabadi
uTha surahi ye shisha wo jam le saqi
phir is ke baad KHuda ka bhi nam le saqi
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
kuchh bhi bacha na kahne ko har baat ho gai
aao kahin sharab piyen raat ho gai
Nida Fazli
itni pi hai ki baad-e-tauba bhi
be-piye be-KHudi si rahti hai
Riyaz Khairabadi
e piye hi sharab se nafrat
ye jahaalat nahin to phir kya hai
without drinking, to abhor wine so
what is this if not igorant stupidity
Sahir Ludhianvi