zindagi KHwab dekhti hai magar
zindagi zindagi hai KHwab nahin
Maqbool Naqsh
hain tasawwur mein us ke aankhen band
log jaanen hain KHwab karta hun
Meer Mohammadi Bedar
lete hi nam us ka sote se chaunk uTThe
hai KHair 'mir'-sahib kuchh tum ne KHwab dekha
Mir Taqi Mir
aankhen kholo KHwab sameTo jago bhi
'alwi' pyare dekho sala din nikla
Mohammad Alvi
ab judai ke safar ko mere aasan karo
tum mujhe KHwab mein aa kar na pareshan karo
Munawwar Rana
KHwab hote hain dekhne ke liye
un mein ja kar magar raha na karo
Muneer Niyazi
aisa bhi kabhi ho main jise KHwab mein dekhun
jagun to wahi KHwab ki tabir batae
Mustafa Shahab