aashiq ki siyah-rozi ijad hui jis din
us roz se KHwabon ki ye zulf pareshan hai
Ishq Aurangabadi
aankhon mein jo bhar loge to kanTon se chubhenge
ye KHwab to palkon pe sajaane ke liye hain
Jaan Nisar Akhtar
kuchal ke phenk do aankhon mein KHwab jitne hain
isi sabab se hain hum par azab jitne hain
Jaan Nisar Akhtar
aur to kya tha bechne ke liye
apni aankhon ke KHwab beche hain
Jaun Eliya
kabhi jo KHwab tha wo pa liya hai
magar jo kho gai wo chiz kya thi
Javed Akhtar
in dekhe us ke jawe ranj o azab kyun kar
wo KHwab mein to aawe par aawe KHwab kyun ka
Jurat Qalandar Bakhsh
jab se ek KHwab ki tabir mili hai mujh ko
main har ek KHwab ki tabir se ghabraata hun
Kafeel Aazar Amrohvi