kal raat jagati rahi ek KHwab ki duri
aur nind bichhati rahi bistar mere aage
Kashif Husain Ghair
hath lagate hi miTTi ka Dher hue
kaise kaise rang bhare the KHwabon mein
Khaavar Ejaz
KHwab dekha tha mohabbat ka mohabbat ki qasam
phir isi KHwab ki tabir mein masruf tha main
KHalid Malik u0027Sahilu0027
kisi KHayal ka koi wajud ho shayad
badal raha hun main KHwabon ko tajraba kar ke
KHalid Malik u0027Sahilu0027
koi to baat hogi ki karne paDe hamein
apne hi KHwab apne hi qadmon se paemal
Khalilur Rahman Azmi
nahin ab koi KHwab aisa teri surat jo dikhlae
bichhaD kar tujh se kis manzil par hum tanha chale aae
Khalilur Rahman Azmi
KHuda kare ki khule ek din zamane par
meri kahani mein jo istiara KHwab ka hai
Khurshid Rabbani