sawal karti kai aankhen muntazir hain yahan
jawab aaj bhi hum soch kar nahin aae
Aashufta Changezi
ishq bhi ho hijab mein husn bhi ho hijab mein
ya to KHud aashkar ho ya mujhe aashkar ka
Allama Iqbal
shauq kahta hai pahunch jaun main ab kabe mein jald
rah mein but-KHana paDta hai ilahi kya karun
Ameer Minai
hai ajab si kashmakash dil mein 'asar'
kis ko bhulen kis ko rakkhen yaad hum
Asar Akbarabadi
ye sochte hi rahe aur bahaar KHatm hui
kahan chaman mein nasheman bane kahan na bane
i kept contemplating, spring came and went away
where in the garden should I make my nest today
Asar Lakhnavi
sar mein sauda bhi nahin dil mein tamanna bhi nahin
lekin is tark-e-mohabbat ka bharosa bhi nahin
Firaq Gorakhpuri
irade bandhta hun sochta hun toD deta hun
kahin aisa na ho jae kahin aisa na ho jae
Hafeez Jalandhari