teri chahat ke bhige jangalon mein
mera tan mor ban kar nachta hai
Parveen Shakir
wo kahin bhi gaya lauTa to mere pas aaya
bas yahi baat hai achchhi mere harjai ki
Parveen Shakir
wo to KHush-bu hai hawaon mein bikhar jaega
masala phul ka hai phul kidhar jaega
Parveen Shakir
na to main hur ka maftun na pari ka aashiq
KHak ke putle ka hai KHak ka putla aashiq
Peer Sher Mohammad Ajiz
tumhaare shahr ka mausam baDa suhana lage
main ek sham chura lun agar bura na lage
Qaisar-ul-Jafri
zindagi bhar ke liye ruTh ke jaane wale
main abhi tak teri taswir liye baiTha hun
Qaisar-ul-Jafri
jis qadar jazb-e-mohabbat ka asar hota gaya
ishq KHud tark o talab se be-KHabar hota gaya
Qamar Moradabadi