ye Thik hai nahin marta koi judai mein
KHuda kisi ko kisi se magar juda na kare
Qateel Shifai
us ki yaad aai hai sanso zara aahista chalo
dhaDkanon se bhi ibaadat mein KHalal paDta hai
Rahat Indori
ishq wo kar-e-musalsal hai ki hum apne liye
ek lamha bhi pas-andaz nahin kar sakte
Rais Farogh
os se pyas kahan bujhti hai
musla-dhaar baras meri jaan
Rajinder Manchanda Bani
ishq mein bhi siyasaten niklin
qurbaton mein bhi fasla nikla
Rasa Chughtai
sham Dhale ye soch ke baiThe hum apni taswir ke pas
sari ghazlen baiThi hongi apne apne mir ke pas
Saghar Azmi
tum kya jaano apne aap se kitna main sharminda hun
chhuT gaya hai sath tumhaara aur abhi tak zinda hun
Saghar Azmi