arha un se na milne ki qasam khata hun main
aur phir ye baat qasdan bhul bhi jata hun main
Iqbal Azeem
hum bahut dur nikal aae hain chalte chalte
ab Thahar jaen kahin sham ke Dhalte Dhalte
Iqbal Azeem
ziyan-e-dil hi is bazar mein sud-e-mohabbat hai
yahan hai faeda KHud ko agar nuqsan mein rakh len
Iqbal Kausar
adan mein jaise lahu taziyana ho gaya hai
use gale se lagae zamana ho gaya hai
Irfan Siddiqi
ishq mein kya nuqsan nafa hai hum ko kya samjhate ho
hum ne sari umr hi yaro dil ka karobar kiya
Jaan Nisar Akhtar
log kahte hain ki tu ab bhi KHafa hai mujh se
teri aankhon ne to kuchh aur kaha hai mujh se
Jaan Nisar Akhtar
sau chand bhi chamkenge to kya baat banegi
tum aae to is raat ki auqat banegi
Jaan Nisar Akhtar