'athar' tum ne ishq kiya kuchh tum bhi kaho kya haal hua
koi naya ehsas mila ya sab jaisa ahwal hua
Athar Nafees
hamare ishq mein ruswa hue tum
magar hum to tamasha ho gae hain
Athar Nafees
ek shakl hamein phir bhai hai ek surat dil mein samai hai
hum aaj bahut sarshaar sahi par agla moD judai hai
Athar Nafees
husn aur ishq hain donon kafir
donon mein ek jhagDa sa hai
Azeem Qureshi
kabhi qarib kabhi dur ho ke rote hain
mohabbaton ke bhi mausam ajib hote hain
Azhar Inayati
mohabbat lafz to sada sa hai lekin 'aziz' is ko
mata-e-dil samajhte the mata-e-dil samajhte hain
Aziz Warsi
na jaane kaun si manzil pe ishq aa pahuncha
dua bhi kaam na aae koi dawa na lage
Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri