sitam hi karna jafa hi karna nigah-e-ulfat kabhi na karna
tumhein qasam hai hamare sar ki hamare haq mein kami na karna
Dagh Dehlvi
gulon mein rang bhare baad-e-nau-bahaar chale
chale bhi aao ki gulshan ka karobar chale
Faiz Ahmad Faiz
ek tarz-e-taghaful hai so wo un ko mubarak
ek arz-e-tamanna hai so hum karte rahenge
Faiz Ahmad Faiz
ahut dur to kuchh nahin ghar mera
chale aao ek din Tahalte hue
Hafeez Jaunpuri
kahin wo aa ke miTa den na intizar ka lutf
kahin qubul na ho jae iltija meri
let her not come to me and this pleasure destroy
let not my prayers be answered, for waiting is a joy
Hasrat Jaipuri
ye iltija dua ye tamanna fuzul hai
sukhi nadi ke pas samundar na jaega
Hayat Lakhnavi
ab to aa jao rasm-e-duniya ki
main ne diwar bhi gira di hai
Javed Kamal Rampuri