hawa ke apne ilaqe hawas ke apne maqam
ye kab kisi ko zafar-yab dekh sakte hain
Asad Badayuni
nahin hai mere muqaddar mein raushni na sahi
ye khiDki kholo zara subh ki hawa hi lage
Bashir Badr
KHushbu ko phailne ka bahut shauq hai magar
mumkin nahin hawaon se rishta kiye baghair
tho fragrance is very fond, to spread around, increase
this is nigh impossible, till it befriends the breeze
Bismil Saeedi
shajar se bichhDa hua barg-e-KHushk hun 'faisal'
hawa ne apne gharane mein rakh liya hai mujhe
Faisal Ajmi
hawa ke dosh pe uDti hui KHabar to suno
hawa ki baat bahut dur jaane wali hai
Hasan Akhtar Jaleel
andesha hai ki de na idhar ki udhar laga
mujh ko to na-pasand watire saba ke hain
Ismail Merathi
in charaghon mein tel hi kam tha
kyun gila phir hamein hawa se rahe
Javed Akhtar