nala-e-bulbul-e-shaida to suna hans hans kar
ab jigar tham ke baiTho meri bari aai
Lala Madhav Ram Jauhar
ek bar tujhe aql ne chaha tha bhulana
sau bar junun ne teri taswir dikha di
Mahirul Qadri
main akela hi chala tha jaanib-e-manzil magar
log sath aate gae aur karwan banta gaya
Majrooh Sultanpuri
aap ki yaad aati rahi raat bhar
chashm-e-nam muskuraati rahi raat bha
Makhdoom Mohiuddin
ishq ke shoale ko bhaDkao ki kuchh raat kaTe
dil ke angare ko dahkao ki kuchh raat kaTe
Makhdoom Mohiuddin
hum ko kis ke gham ne mara ye kahani phir sahi
kis ne toDa dil hamara ye kahani phir sahi
Masroor Anwar
KHuda ke waste is ko na Toko
yahi ek shahr mein qatil raha hai
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan