dost do-chaar nikalte hain kahin lakhon mein
jitne hote hain siwa utne hi kam hote hain
Lala Madhav Ram Jauhar
jo dost hain wo mangte hain sulh ki dua
dushman ye chahte hain ki aapas mein jang ho
Lala Madhav Ram Jauhar
aql kahti hai dobara aazmana jahl hai
dil ye kahta hai fareb-e-dost khate jaiye
Mahirul Qadri
dosti ko bura samajhte hain
kya samajh hai wo kya samajhte hain
Nooh Narvi
dosti jab kisi se ki jae
dushmanon ki bhi rae li jae
Rahat Indori
KHuda ke waste mauqa na de shikayat ka
ki dosti ki tarah dushmani nibhaya ka
Saqi Faruqi
sau bar tar tar kiya to bhi ab talak
sabit wahi hai dast o gareban ki dosti
Shaikh Zahuruddin Hatim