اردو हिंदी
Husn jab mehrban ho to kya kijiye | Shaahi Shayari
husn jab mehrban ho to kya kijiye

Ghazal

Husn jab mehrban ho to kya kijiye

Khumar Barabankavi

;

husn jab mehrban ho to kya kijiye
ishq ke maghfirat ki dua kijiye

is saliqe se un se gila kijiye
jab gila kijiye hans diya kijiye

dusron par agar tabsira kijiye
samne aaina rakh liya kijiye

aap sukh se hain tark-e-talluq ke baad
itni jaldi na ye faisla kijiye

zindagi kaT rahi hai baDe chain se
aur gham hon to wo bhi ata kijiye

koi dhoka na kha jae meri tarah
aise khul ke na sab se mila kijiye

aql o dil apni apni kahen jab 'KHumar'
aql ki suniye dil ka kaha kijiye