tu bhi sada hai kabhi chaal badalta hi nahin
hum bhi sada hain isi chaal mein aa jate hain
Afzal Khan
mujhi ko parda-e-hasti mein de raha hai fareb
wo husn jis ko kiya jalwa-afrin main ne
Akhtar Ali Akhtar
chaman ke rang-o-bu ne is qadar dhoka diya mujh ko
ki main ne shauq-e-gul-bosi mein kanTon par zaban rakh di
Akhtar Hoshiyarpuri
wo zahr deta to sab ki nigah mein aa jata
so ye kiya ki mujhe waqt pe dawaen na din
Akhtar Nazmi
yar main itna bhuka hun
dhoka bhi kha leta hun
Aks samastipuri
ai mujh ko fareb dene wale
main tujh pe yaqin kar chuka hun
Athar Nafees
jo baat dil mein thi us se nahin kahi hum ne
wafa ke nam se wo bhi fareb kha jata
Aziz Hamid Madni