gin raha hun harf un ke ahd ke
mujh ko dhoka de rahi hai yaad kya
Aziz Hyderabadi
aashiqi mein bahut zaruri hai
bewafai kabhi kabhi karna
Bashir Badr
umid-e-wasl ne dhoke diye hain is qadar 'hasrat'
ki us kafir ki han bhi ab nahin malum hoti hai
Chiragh Hasan Hasrat
tere wadon pe kahan tak mera dil fareb khae
koi aisa kar bahana meri aas TuT jae
Fana Nizami Kanpuri
dikhai deta hai jo kuchh kahin wo KHwab na ho
jo sun rahi hun wo dhoka na ho samaat ka
Fatima Hasan
jo un masum aankhon ne diye the
wo dhoke aaj tak main kha raha hun
Firaq Gorakhpuri
kisi ka yun to hua kaun umr bhar phir bhi
ye husn o ishq to dhoka hai sab magar phir bhi
Firaq Gorakhpuri