jin ki KHatir shahr bhi chhoDa jin ke liye badnam hue
aaj wahi hum se begane begane se rahte hain
Habib Jalib
mera wajud haqiqat mera adam dhoka
fana ki shakl mein sar-chashma-e-baqa hun main
Hadi Machlishahri
wafaon ke badle jafa kar rahe hain
main kya kar raha hun wo kya kar rahe hain
Hafeez Jalandhari
ye bhi ek dhoka tha nairang-e-tilism-e-aql ka
apni hasti par bhi hasti ka hua dhoka mujhe
Hafeez Jalandhari
aadmi jaan ke khata hai mohabbat mein fareb
KHud-farebi hi mohabbat ka sila ho jaise
Iqbal Azeem
har-chand e'tibar mein dhoke bhi hain magar
ye to nahin kisi pe bharosa kiya na jae
Jaan Nisar Akhtar
ek safar mein koi do bar nahin luT sakta
ab dobara teri chahat nahin ki ja sakti
Jamal Ehsani