dilli kahan gain tere kuchon ki raunaqen
galiyon se sar jhuka ke guzarne laga hun main
Jaan Nisar Akhtar
janab-e-'kaif' ye dilli hai 'mir' o 'ghaalib' ki
yahan kisi ki taraf-dariyan nahin chaltin
Kaif Bhopali
chehre pe sare shahr ke gard-e-malal hai
jo dil ka haal hai wahi dilli ka haal hai
Malikzada Manzoor Ahmad
amir-zadon se dilli ke mil na ta-maqdur
ki hum faqir hue hain inhin ki daulat se
Mir Taqi Mir
dilli ke na the kuche auraq-e-musawwar the
jo shakl nazar aai taswir nazar aai
Mir Taqi Mir
dilli mein aaj bhik bhi milti nahin unhen
tha kal talak dimagh jinhen taj-o-taKHt ka
Mir Taqi Mir
marsiye dil ke kai kah ke diye logon ko
shahr-e-dilli mein hai sab pas nishani us ki
Mir Taqi Mir