KHwabon ke ufuq par tera chehra ho hamesha
aur main usi chehre se nae KHwab sajaun
Athar Nafees
aaina chhoD ke dekha kiye surat meri
dil-e-muztar ne mere un ko sanwarne na diya
Aziz Lakhnavi
shabnam ke aansu phul par ye to wahi qissa hua
aankhen meri bhigi hui chehra tera utra hua
Bashir Badr
wo chehra kitabi raha samne
baDi KHubsurat paDhai hui
Bashir Badr
lamha lamha mujhe viran kiye deta hai
bas gaya mere tasawwur mein ye chehra kis ka
Dil Ayubi
ai sanam jis ne tujhe chand si surat di hai
usi allah ne mujh ko bhi mohabbat di hai
Haidar Ali Aatish
ajab teri hai ai mahbub surat
nazar se gir gae sab KHubsurat
Haidar Ali Aatish