اردو हिंदी
Rah gaya KHwab-e-dil-aram adhura kis ka | Shaahi Shayari
rah gaya KHwab-e-dil-aram adhura kis ka

Ghazal

Rah gaya KHwab-e-dil-aram adhura kis ka

Dil Ayubi

;

rah gaya KHwab-e-dil-aram adhura kis ka
Dhal gai shab to khula hai ye daricha kis ka

lamha lamha mujhe viran kiye deta hai
bas gaya mere tasawwur mein ye chehra kis ka

aazmaish ki ghaDi hai sar-e-maqtal dekhen
zer-e-KHanjar wahi rahta hai irada kis ka

ye jo bedar bhi hain soe hue bhi in mein
sham kis ki hai KHuda jaane sawera kis ka

rah-raw-e-aKHir-e-shab hain sabhi uktae hue
kaun kab tak hai yahan sath bharosa kis ka

mere qatil ke tajassus mein bhaTakne walo
KHun aalud hai basti mein pasina kis ka

aaina-KHana do-alam ko bana kar ai 'dil'
muntazir baiTha hai warafta-o-shaida kis ka