hum kisi bahrupiye ko jaan len mushkil nahin
us ko kya pahchaniye jis ka koi chehra na ho
Hakeem Manzoor
teri surat se kisi ki nahin milti surat
hum jahan mein teri taswir liye phirte hain
Imam Bakhsh Nasikh
kya sitam hai ki ab teri surat
ghaur karne pe yaad aati hai
Jaun Eliya
tera chehra kitna suhana lagta hai
tere aage chand purana lagta hai
Kaif Bhopali
main to 'munir' aaine mein KHud ko tak kar hairan hua
ye chehra kuchh aur tarah tha pahle kisi zamane mein
Muneer Niyazi
hula din hum ne kitaben ki us pari-ru ke
kitabi chehre ke aage kitab hai kya chiz
Nazeer Akbarabadi
wo ek hi chehra to nahin sare jahan mein
jo dur hai wo dil se utar kyun nahin jata
Nida Fazli