andheri raat ko main roz-e-ishq samjha tha
charagh tu ne jalaya to dil bujha mera
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
kahin koi charagh jalta hai
kuchh na kuchh raushni rahegi abhi
Abrar Ahmad
mujid jo nur ka hai wo mera charagh hai
parwana hun main anjuman-e-kaenat ka
Agha Hajju Sharaf
abhi to jag rahe hain charagh rahon ke
abhi hai dur sahar thoDi dur sath chalo
Ahmad Faraz
agarche zor hawaon ne Dal rakkha hai
magar charagh ne lau ko sambhaal rakkha hai
Ahmad Faraz
kaun taqon pe raha kaun sar-e-rahguzar
shahr ke sare charaghon ko hawa jaanti hai
Ahmad Faraz
charagh us ne bujha bhi diya jala bhi diya
ye meri qabr pe manzar naya dikha bhi diya
Bashiruddin Ahmad Dehlvi