shab-e-visal hai gul kar do in charaghon ko
KHushi ki bazm mein kya kaam jalne walon ka
Dagh Dehlvi
KHak se sainkaDon uge KHurshid
hai andhera magar charag-tale
Ehsan Danish
shahr ke andhere ko ek charagh kafi hai
sau charagh jalte hain ek charagh jalne se
Ehtisham Akhtar
sitar-e-KHwab se bhi baDh kar ye kaun be-mehr hai ki jis ne
charagh aur aaine ko apne wajud ka raaz-dan kiya hai
Ghulam Husain Sajid
apni taswir ke ek ruKH ko nihan rakhta hai
ye charagh apna dhuan jaane kahan rakhta hai
Ghulam Murtaza Rahi
ek charagh aur ek kitab aur ek ummid asasa
us ke baad to jo kuchh hai wo sab afsana hai
Iftikhar Arif
aat ko jit to pata nahin lekin ye charagh
kam se kam raat ka nuqsan bahut karta hai
Irfan Siddiqi