kaun sani shahr mein is mere mah-pare ki hai
chand si surat dupaTTa sar pe yak-tare ka hai
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
chand mein kaise nazar aae teri surat mujhe
aandhiyon se aasman ka rang maila ho gaya
Afzal Minhas
mujh ko malum hai mahbub-parasti ka azab
der se chand nikalna bhi ghalat lagta hai
Ahmad Kamal Parwazi
kai chand the sar-e-asman ki chamak chamak ke palaT gae
na lahu mere hi jigar mein tha na tumhaari zulf siyah thi
Ahmad Mushtaq
phul bahar hai ki andar hai mere sine mein
chand raushan hai ki main aap hi tabinda hun
Ahmad Shanas
sab sitare dilasa dete hain
chand raaton ko chiKHta hai bahut
Alok Mishra
ai kash hamari qismat mein aisi bhi koi sham aa jae
ek chand falak par nikla ho ek chand sar-e-baam aa jae
Anwar Mirzapuri