uKHsar par hai rang-e-haya ka farogh aaj
bose ka nam main ne liya wo nikhar gae
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida
ole wo bosa-ha-e-paiham par
are kam-baKHt kuchh hisab bhi hai
Hasan Barelvi
muft bosa hasin nahin dete
dil jo dete hain dam lete hain
Imdad Imam Asar
maza aab-e-baqa ka jaan-e-jaanan
tera bosa liya howe so jaane
Ishq Aurangabadi
na ho barham jo bosa be-ijazat le liya main ne
chalo jaane do betabi mein aisa ho hi jata hai
Jalal Lakhnavi
jaldi talab-e-bosa pe kije to kahe wah
aisa ise kya samjhe ho tum munh ka niwala
Jurat Qalandar Bakhsh
lab-e-KHayal se us lab ka jo liya bosa
to munh hi munh mein ajab tarah ka maza aaya
Jurat Qalandar Bakhsh