dhamka ke bose lunga ruKH-e-rashk-e-mah ka
chanda wasul hota hai sahab dabaw se
Akbar Allahabadi
osa aankhon ka jo manga to wo hans kar bole
dekh lo dur se khane ke ye baadam nahin
Amanat Lakhnavi
osa liya jo us lab-e-shirin ka mar gae
di jaan hum ne chashma-e-ab-e-hayat pa
Ameer Minai
ahd ke baad liye bose dahan ke itne
ki lab-e-zud-pashiman ko mukarne na diya
Amirullah Tasleem
dil-lagi mein hasrat-e-dil kuchh nikal jati to hai
bose le lete hain hum do-chaar hanste bolte
Amirullah Tasleem
e-KHudi mein le liya bosa KHata kije muaf
ye dil-e-betab ki sari KHata thi main na tha
Bahadur Shah Zafar
kya tab kya majal hamari ki bosa len
lab ko tumhaare lab se mila kar kahe baghai
Bahadur Shah Zafar