tez hawaen aaankhon mein to ret dukhon ki bhar hi gain
jalte lamhe rafta rafta dil ko bhi jhulsaenge
Bashar Nawaz
gaD sin miTha hai bosa tujh lab ka
is jalebi mein qand o shakkar hai
Faez Dehlvi
guD se miTha hai bosa tujh lab ka
is jalebi mein qand-o-shakkar hai
Faez Dehlvi
ose biwi ke hansi bachchon ki aankhen man ki
qaid-KHane mein giraftar samajhiye hum ko
Fuzail Jafri
lab-e-jaan-baKHsh tak ja kar rahe mahrum bosa se
hum is pani ke pyase the jo taDpata hai sahil pa
Habeeb Musvi
osa-e-ruKHsar par takrar rahne dijiye
lijiye ya dijiye inkar rahne dijiye
Hafeez Jaunpuri
e-ginti bose lenge ruKH-e-dil-pasand ke
aashiq tere paDhe nahin ilm-e-hisab ko
we shall kiss your beautiful face without counting
your lover is unversed in the science of accounting
Haidar Ali Aatish