tamam paikar-e-badsurti hai mard ki zat
mujhe yaqin hai KHuda mard ho nahin sakta
Farhat Ehsas
aurat hun magar surat-e-kohsar khaDi hun
ek sach ke tahaffuz ke liye sab se laDi hun
Farhat Zahid
zamane ab tere madd-e-muqabil
koi kamzor si aurat nahin hai
Fariha Naqvi
achchhi-KHasi ruswai ka sabab hoti hai
dusri aurat pahli jaisi kab hoti hai
Fay Seen Ejaz
tu aag mein ai aurat zinda bhi jali barson
sanche mein har ek gham ke chup-chap Dhali barson
Habib Jalib
kaun badan se aage dekhe aurat ko
sab ki aankhen girwi hain is nagri mein
Hamida Shahin
eTiyan bap ki aankhon mein chhupe KHwab ko pahchanti hain
aur koi dusra is KHwab ko paDh le to bura manti hain
Iftikhar Arif