agar hai insan ka muqaddar KHud apni miTTi ka rizq hona
to phir zamin par ye aasman ka wajud kis qahr ke liye hai
Ghulam Husain Sajid
giregi kal bhi yahi dhup aur yahi shabnam
is aasman se nahin aur kuchh utarne ka
Hakeem Manzoor
adle hue se lagte hain ab mausamon ke rang
paDta hai aasman ka saya zamin pa
Hamdam Kashmiri
zamin ki kokh hi zaKHmi nahin andheron se
hai aasman ke bhi sine pe aaftab ka zaKHm
Ibn-e-Safi
yun jo takta hai aasman ko tu
koi rahta hai aasman mein kya
Jaun Eliya
zarra samajh ke yun na mila mujh ko KHak mein
ai aasman main bhi kabhi aaftab tha
Lala Madhav Ram Jauhar
aasman par ja pahunchun
allah tera nam likhun
Mohammad Alvi