wo so raha hai KHuda dur aasmanon mein
farishte loriyan gate hain us ke kanon mein
Abdur Rahim Nashtar
ut badli to zamin ke chehre ka ghaza bhi badla
rang magar KHud aasman ne badle kaise kaise
Akbar Hyderabadi
uqabi ruh jab bedar hoti hai jawanon mein
nazar aati hai un ko apni manzil aasmanon mein
Allama Iqbal
aasman apne iradon mein magan hai lekin
aadmi apne KHayalat liye phirta hai
Anwar Masood
hazar raste badle hazar swang rache
magar hai raqs mein sar par ek aasman wahi
Aslam Emadi
aasman ek sulagta hua sahra hai jahan
DhunDhta phirta hai KHud apna hi saya suraj
Azad Gulati
kabhi to aasman se chand utre jam ho jae
tumhaare nam ki ek KHub-surat sham ho jae
Bashir Badr