اردو हिंदी
Aarzoo Shayari | Shaahi Shayari

Aarzoo

66 Shers

adam se dahr mein aana kise gawara tha
kashan kashan mujhe lai hai aarzu teri

Taashshuq Lakhnavi




aad-e-tark-e-arzu baiTha hun kaisa mutmain
ho gai aasan har ek mushkil ba-asani meri

Tilok Chand Mahroom




talatum aarzu mein hai na tufan justuju mein hai
jawani ka guzar jaana hai dariya ka utar jaana

Tilok Chand Mahroom