log kahte hain ki tum se hi mohabbat hai mujhe
tum jo kahte ho ki wahshat hai to wahshat hogi
Abdul Hamid Adam
main aur us ghuncha-dahan ki aarzu
aarzu ki sadgi thi main na tha
Abdul Hamid Adam
main bad-nasib hun mujh ko na de KHushi itni
ki main KHushi ko bhi le kar KHarab kar dunga
Abdul Hamid Adam
main mai-kade ki rah se ho kar nikal gaya
warna safar hayat ka kafi tawil tha
Abdul Hamid Adam
main umr bhar jawab nahin de saka 'adam'
wo ek nazar mein itne sawalat kar gae
Abdul Hamid Adam
main yun talash-e-yar mein diwana ho gaya
kabe mein panw rakkha to but-KHana ho gaya
Abdul Hamid Adam
mai-kada hai yahan sakun se baiTh
koi aafat idhar nahin aati
Abdul Hamid Adam