dekh ye dil jo kabhi had se guzar jata tha
dekh dariya mein koi shor na tughyani hai
Akram Mahmud
dil KHush jo nahin rahta to is ka bhi sabab hai
maujud koi wajh-e-masarrat nahin hoti
Akram Mahmud
do chaar baras jitne bhi hain jabr hi sah len
is umr mein ab hum se baghawat nahin hoti
Akram Mahmud
gum to hona tha ba-har-haal kisi manzar mein
dil hua KHwab mein gum aankh hui aab mein gum
Akram Mahmud
hamesha ek si haalat pe kuchh nahin rahta
jo aae hain to kaDe din guzar bhi jaenge
Akram Mahmud
makan ki koi KHabar la-makan ko kaise ho
safir-e-ruh abhi jism ke hisar mein hai
Akram Mahmud
mujh pe aasan hai kahe lafz ka ifa karna
us ko mushkil hai to wo apni suhulat dekhe
Akram Mahmud