log ye soch ke hi pareshan hain
main zamin tha to kyun aasman ho gaya
Akhtar Shahjahanpuri
main jhuT ko sachchai ke paikar mein sajata
kya kijiye mujh ko ye hunar hi nahin aaya
Akhtar Shahjahanpuri
purane waqton ke kuchh log ab bhi kahte hain
baDa wahi hai jo dushman ko bhi muaf kare
Akhtar Shahjahanpuri
anj-o-gham sahne ki aadat ho gai hai
zinda rahne ke saliqe de gaya wo
Akhtar Shahjahanpuri
anj-o-gham Thokaren mayusi ghuTan be-zari
mere KHwabon ki ye tabir bhi ho sakti hai
Akhtar Shahjahanpuri
tumhaare KHat kabhi paDhna kabhi tartib se rakhna
ajab mashghuliyat rahti hai bekari ke mausam mein
Akhtar Shahjahanpuri
wo ek lamha jo tere wasl ka tha
bayaz-e-hijr par likkha hua hai
Akhtar Shahjahanpuri