tifl mein bu aae kya man bap ke atwar ki
dudh to Dibbe ka hai talim hai sarkar ki
Akbar Allahabadi
teri zulfon mein dil uljha hua hai
bala ke pech mein aaya hua hai
Akbar Allahabadi
tum nak chaDhate ho meri baat pe ai shaiKH
khinchungi kisi rose main ab kan tumhaare
Akbar Allahabadi
tumhaare waz mein tasir to hai hazrat-e-waiz
asar lekin nigah-e-naz ka bhi kam nahin hota
Akbar Allahabadi
unhen bhi josh-e-ulfat ho to lutf uTThe mohabbat ka
hamin din-raat agar taDpe to phir is mein maza kya hai
Akbar Allahabadi
yahan ki auraton ko ilm ki parwa nahin be-shak
magar ye shauharon se apne be-parwa nahin hotin
Akbar Allahabadi
ye hai ki jhukata hai muKHalif ki bhi gardan
sun lo ki koi shai nahin ehsan se behta
Akbar Allahabadi