shaiKH ki dawat mein mai ka kaam kya
ehtiyatan kuchh manga li jaegi
Akbar Allahabadi
sidhaaren shaiKH kaba ko hum inglistan dekhenge
wo dekhen ghar KHuda ka hum KHuda ki shan dekhenge
Akbar Allahabadi
sine se lagaen tumhein arman yahi hai
jine ka maza hai to meri jaan yahi hai
Akbar Allahabadi
talluq aashiq o mashuq ka to lutf rakhta tha
maze ab wo kahan baqi rahe biwi miyan ho ka
Akbar Allahabadi
tahsin ke laeq tera har sher hai 'akbar'
ahbab karen bazm mein ab wah kahan tak
Akbar Allahabadi
tashbih tere chehre ko kya dun gul-e-tar se
hota hai shagufta magar itna nahin hota
Akbar Allahabadi
tayyar the namaz pe hum sun ke zikr-e-hur
jalwa buton ka dekh ke niyat badal gai
Akbar Allahabadi