hindostan mein dhum hai kis ki zaban ki
wo kaun hai 'riyaz' ko jo jaanta nahin
Riyaz Khairabadi
is haj mein wo but bhi sath hoga
ye sach hai 'riyaz' to gae hum
Riyaz Khairabadi
is se achchhe dash-e-sahra is se achchhe gard-baad
aalam-e-wahshat mein mera ghar koi ghar rah gaya
Riyaz Khairabadi
is waste ki aaw-bhagat mai-kade mein ho
puchha jo ghar kisi ne to kaba bata diya
Riyaz Khairabadi
is waste ki aaw-bhagat mai-kade mein ho
puchha jo ghar kisi ne to kaba bata diya
Riyaz Khairabadi
itni pi hai ki baad-e-tauba bhi
be-piye be-KHudi si rahti hai
Riyaz Khairabadi
jam hai tauba-shikan tauba meri jam-shikan
samne Dher hain TuTe hue paimanon ke
Riyaz Khairabadi

