hum band kiye aankh tasawwur mein paDe hain
aise mein koi chham se jo aa jae to kya ho
Riyaz Khairabadi
hum jam-e-mai ke bhi lab tar chuste nahin
chaska paDa hua hai tumhaari zaban ka
Riyaz Khairabadi
hum jaante hain lutf-e-taqaza-e-mai-farosh
wo naqd mein kahan jo maza hai udhaar mein
Riyaz Khairabadi
hum jaante hain lutf-e-taqaza-e-mai-farosh
wo naqd mein kahan jo maza hai udhaar mein
Riyaz Khairabadi
hum ko 'riyaz' jaante hain mante hain sab
hindostan mein dhum hamari zaban ki hai
Riyaz Khairabadi
hum ne dekha taraf-e-mai-kada jate the 'riyaz'
ek asa thame aba pahne amama bandhe
Riyaz Khairabadi
hamari aankhon mein aao to hum dikhaen tumhein
ada tumhaari jo tum bhi kaho ki han kuchh hai
Riyaz Khairabadi

