shab-o-roz naKHl-e-wajud ko naya ek barg-e-ana diya
hamein inhiraf ka hausla bhi diya to misl-e-dua diya
Ahmad Shanas
wo mere alawa mujhe chahta hai
baDi muKHtalif hai kahani ki surat
Ahmad Shanas
is qadar mahfuz rahta hai ki wo
ram ka autar lagta hai mujhe
Ahmad Soz
kitni KHush-haal hai sari duniya
kitna viran hai ye ghar dekho
Ahmad Waheed Akhtar
apni hi zat ke sahra mein aaj
log chup-chap jala karte hain
Ahmad Wasi
artaw is tarah ka rahe har kisi ke sath
KHud ko liye diye bhi raho dosti ke sath
Ahmad Wasi
in se zinda hai ye ehsas ki zinda hun main
shahr mein kuchh mere dushman hain bahut achchha hai
Ahmad Wasi