kisi ko saya kisi ko gul-o-samar dega
hara-bhara hai daraKHt-e-riwaj rahne do
Rahi Fidai
lazzat ka zahr waqt-e-sahr chhoD kar koi
shab ke tamam rishte faramosh kar gaya
Rahi Fidai
sabza-zaron ki sharafat se na khelo qatan
tum hawa ho to KHalaon se lipaT kar dekho
Rahi Fidai
sharafaton ke rang mein shararten KHalat-malat
sar-mazaq ho gain himaqaten KHalat-malat
Rahi Fidai
ye kaisa gul khilaya hai shajar ne
samar banne ko ghuncha muntazir hai
Rahi Fidai
dil ki kheti sukh rahi hai kaisi ye barsat hui
KHwabon ke baadal aate hain lekin aag barasti hai
Rahi Masoom Raza
han unhin logon se duniya mein shikayat hai hamein
han wahi log jo akasr hamein yaad aae hain
Rahi Masoom Raza

