ye hawaen uD na jaen le ke kaghaz ka badan
dosto mujh par koi patthar zara bhaari rakho
Rahat Indori
ye zaruri hai ki aankhon ka bharam qaem rahe
nind rakkho ya na rakkho KHwab meyari rakho
Rahat Indori
aap ne achchha kiya tathir-e-KHwahish hi na ki
warna zamzam chashma-e-napak hota ghaaliban
Rahi Fidai
arae-nam hi sahi ba-ehtiyat kijiye
darun-e-kizb-o-iftira sadaqaten KHalat-malat
Rahi Fidai
hadson ke KHauf se ehsas ki had mein na tha
warna nafs-e-mutmain saffak hota ghaaliban
Rahi Fidai
har ek shaKH thi larzan faza mein chiKH-o-pukar
hawa ke hath mein ek aab-dar KHanjar tha
Rahi Fidai
hawas-girafta hawao nigahen nichi rakho
shajar khaDe hain saDak ke qarin be-parda
Rahi Fidai

