Thahar ke talwon se kanTe nikalne wale
ye hosh hai to junun kaamyab kya hoga
Raaz Yazdani
wo samne sar-e-manzil charagh jalte hain
jawab panw na dete to main kahan hota
Raaz Yazdani
tum ne hanste mujhe dekha hai tumhein kya malum
karni paDti hai ada kitni hansi ki qimat
Raees Rampuri
waraq waraq tujhe tahrir karta rahta hun
main zindagi teri tashhir karta rahta hun
Raeesuddin Raees
aaine ko toDa hai to malum hua hai
guzra hun kisi dasht-e-KHatarnak se aage
Rafi Raza
dhup chhanw ka koi khel hai binai bhi
aankh ko DhunD ke laya hun to manzar gum hai
Rafi Raza
ek din apna sahifa mujh pe nazil ho gaya
us ko paDhte hi meri sari KHataen mar gain
Rafi Raza

