ye meri tamanna hai pyason ke main kaam aaun
yarab meri miTTi ko paimana bana dena
Raaz Allahabadi
har ek shikast-e-tamanna pe muskuraate hain
wo kya karen jo musalsal fareb khate hain
Raaz Muradabadi
kisi ke wada-e-sabr-azma ki KHair ki hum
ab e'tibar ki had se guzarte jate hain
Raaz Muradabadi
ang-o-bu ke parde mein kaun ye KHiraman hai
har nafas moattar hai har nazar ghazal-KHwan hai
Raaz Muradabadi
agar gunah ke qisse bhi kah diye tujh se
gunahgar ko yarab sawab kya hoga
Raaz Yazdani
saza ke jhelne wale ye sochna hai gunah
koi qusur bhi tujh se kabhi hua ki nahin
Raaz Yazdani
Thahar ke panw ke kaTe nikalne wale
ye hosh hai to junun kaamyab kya hoga
Raaz Yazdani

